Feb 7, 2007

Flogging Ek Sau Ek

Humaare vishesh hindi paathakon ke liye,

Vaijayanthi Ben ka Namashkar! "Flog the Blog" par aapka swaagat hai.

Flogging maane kya? Bhaison ko maarte hain na? Usi ko flogging bolte hain.

Aaj kal tee-vee par anek tarah ke awaard pesh kiye jaa rahe hain, jaise oscar, fillumfare, vagairah vagairah.

Usee tarah Blogbhumika par kaii bloggeron ka vishesh sammaan indibloggies dwaarah kiya jaa raha hai. Lekin humein lagta hai ki in awaard nominesans mein bahut paalitiks ho rahee hain.
Gaur se is maamle ki jaanch kiye jaane par hum is nateeje par pahoonche hai ki har saal unhee bloggers ko awaard diye jaa rahein hai. Angrezi mein ise... depotism kehte hain na? Kindly Escuse, hum to sirf forath istandard tak padhe hain.

"Flog the Blog" par hum chote chote bloggeron ki ninda nahin karenge. Humaare website par aapko dukhiyaari gobar nahi milega. Hum apnee tirchi nazar keval blogbhumika ke devtaaon par rakhenge. Hum humaare awaard dwaarah in vishesh mahapurushon ka aadar-samaan karna chahte hain.

Humaarein awaard ke vibhinn prakaar:-

Jihnohnein sabse kam (ya shunya) sex kiya awaard (Is awaard ke liye bahut maar peet hogee)

Bahut jyaada svayam-prashansa awaard

Dukhi Atma awaard

Jinke Blog post ne aapko khudkhusee ke taraf dhakel diya awaard

Blogger jinhonein kabhi auraton se baat nahi kee (apnee maa ke alaavaa) awaard

Gadhe parivaar ka sadasya awaard

Boltee bandh awaard

Sri. Dilip Kumar dwaara prasthuth kiye lifetime achievement awaard (blogbhumika ke padmashree)
--------------------

Hum aaj ka kaaryakram isi tarah samaapt karenge. Asha hai ki aap "Flog the blog" par phir se udaan karenge. Isi din, isi samay.

Jai Mata Di.

(please aap humko suggeshchan denge? thank you, mention naat.)

9 comments:

Anonymous said...

Vaijayanthi Ben, appko hamara aur blogosphere ke sabhi nivasiyo ka hardik dhanyavad|

aapne yeh karyakram pesh karke blogosphere ke sabhi nivasiyo par bohot upkar kiya|

hum aasha karte hai ki is karyekram ke liye blogosphere ke sabhi nivaasi aapko apna poora poora sahyog denge| hame poora vishvaas hai ki aapka yeh karyakram bohot hi kaamyab sabit hoga, aur aane vale nivaasiyo ke liye prerna sabit hoga|

ek bar phir, blogosphere ke sabhi nivaasiyo ki taraf se hum aapse aagya chahenge|

Vaijayanthi Ben said...

Anony Ben ki Bhai (pata nahi)-

Mention naat mention naat!

Hum aapke aabhaaree hain. Hum jaante hain ki aaj kal ke janaresan hindi bhaasha ka prayog bahut kam karte hain, isliye hum aapse bahut prasann hain.

jai raam jee ki

Anonymous said...

Vaijayanthi Ben, yahan sub benno ke saath hum bhi ben hai ;) (is vakya ka jo arth nikalna chahein nikale|)

humme to hindi bolne aur sunne mein bohot anand aata hai| kitni meethi bhaasha hai|

pur yeh to bataiye ki polling kub se shuru hai| vaise yeh to kafi obvious lagta hai ki aap benne, amit varma aur anya bhaiyo ka ek aur interneti avtart hai| aakhir blogo ke liye itna sumay meri nazar mein to aur kisi ke paas nahi ho sakta|

bhagvan aapka bhala kare| jai ram ji ki|

Gaurav said...

In sammanon ki sthaapana se mera mann prasann ho utha hai. Pyaari behno, aapke iss upakram ki kamayabi ke liye main din raat mandir mein jaakar namaaz paDhoonga.

Kintu mujhe aapse kuch dikkat hai, uska bura na maane. Aapka jo sarvoccha puraskaar hai, uske hindi anuvaad mein ek angrezi shabd ghuseD kar unki pratima mein laanchhan na lagaiye. Sampoorna roop se usey hindi mein anuvaadit keejiye.

Mere sujhaav -

"Jinhone nyoonatam shaaririk sambhog kiya"

athvaa

"Jinhoone kaamkrida mein sabse kam bhaag liya"

aapka nir-vinimra
Gaurav

Vaijayanthi Ben said...

Anony Ben- Aapke shak bharein nazron ne humein bahut neecha dikhaa diya.. hum bahut udaas hain :(

Gaurav jee,
Namaskar! Bhai, aaj ke zamaane mein thoda flexible hona zaroori hai. Dekhiye, jab star TV ne hindi samaachar mein itnee angrezi bhar dee hai, to hum kis khet ki mooli hai? Isliye hum thoda maadarn hone ka prayaas kar rahe hain. Humein lagaa shudh hindi mein shaaririk sambhog kisi ke khopdee mein nahi ghusega!

Dekha? Hum thodee bambaiya bhi bol letein hain.

Gaurav said...

Pranam Ben. Aapki baat toh sau feesadi sach hai!

kuffir said...

vaijayanthi ben,

aap jo bhi khet ki mooli hain.. par bahut umdaa bolti hain...mera matlab, likhti hain. yeh koshish jaari rahein, allah taala aapko aur aapke saheliyon ko zaroori quvvat aur himmat bakshe, yeh hamari dua hain...
shuddh hindi mein ashuddh urdu ke istemaal ke liye maafi chahta hoon.

Anonymous said...

Your blog keeps getting better and better! Your older articles are not as good as newer ones you have a lot more creativity and originality now keep it up!

Anonymous said...

Hi,

I begin on internet with a directory